Neend us ki hai, dimaag us ka hai, raatein us ki hain
ye zulfein jiski baazuon par pareshan ho gayin.
Sleep is his, pride/head is his, the nights are his
on whose shoulder your curls became scattered/tangled
– Ghalib
Javaab naama siyaahi ka apni hai vo zulf
kisuu ne hashr ko ham se jo sawaal kiya
The answer for the ink (of our deeds) would be those tresses
if anybody will ask us the question on the day of judgement
– Mir Taqi Mir
Idhar aao tumhari zulf ham aarasta kar dein
jo gesu ham sanwaareinge kabhi barham nahi honge
Come here; let me straighten your troubling hair locks
when I set them right your tresses shall never ever be entangled again
-Kaleem Ajiz
Kya ho gaya hai gesuu-e khamdaar ko tere
aazad kar rahein hain giraftaar ko tere
Ab tu muddaton se hai shab-o-roz ruu-ba-ru
kitne hi din guzar gaye didaar ko tere